“𝐙𝐈𝐌𝐌𝐄𝐃𝐀𝐑𝐈𝐘𝐎𝐍 𝐊𝐈 𝐑𝐀𝐊𝐇𝐈”


𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐛𝐚𝐜𝐡𝐩𝐚𝐧 𝐤𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐤𝐨 𝐥𝐞𝐤𝐚𝐫 𝐮𝐬𝐬 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐲 𝐤𝐞 𝐫𝐚𝐤𝐡𝐢 𝐤𝐞 𝐭𝐲𝐨𝐡𝐚𝐫 𝐤𝐢 𝐦𝐢𝐭𝐡𝐚𝐬 𝐚𝐮𝐫 𝐤𝐡𝐮𝐬𝐡𝐢 𝐤𝐨 𝐲𝐚𝐚𝐝 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢𝐧. 𝐘𝐞𝐡 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐞𝐤 𝐩𝐮𝐫𝐚𝐧𝐞 𝐭𝐲𝐨𝐡𝐚𝐫 𝐤𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐤𝐨 𝐥𝐞𝐤𝐚𝐫 𝐡𝐚𝐢, 𝐣𝐚𝐛 𝐛𝐚𝐜𝐡𝐩𝐚𝐧 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐫𝐚𝐤𝐡𝐢 𝐤𝐚 𝐝𝐢𝐧 𝐢𝐭𝐧𝐚 𝐤𝐡𝐚𝐚𝐬 𝐚𝐮𝐫 𝐤𝐡𝐮𝐬𝐡𝐢 𝐬𝐞 𝐛𝐡𝐚𝐫𝐩𝐮𝐫 𝐡𝐨𝐭𝐚 𝐭𝐡𝐚. 𝐀𝐚𝐣 𝐤𝐞 𝐳𝐢𝐦𝐦𝐞𝐝𝐚𝐫𝐢𝐲𝐨𝐧 𝐚𝐮𝐫 𝐳𝐢𝐧𝐝𝐚𝐠𝐢 𝐤𝐢 𝐛𝐡𝐚𝐠𝐚𝐦-𝐛𝐡𝐚𝐠 𝐦𝐞𝐢𝐧, 𝐰𝐨𝐡 𝐛𝐚𝐜𝐡𝐩𝐚𝐧 𝐤𝐢 𝐦𝐚𝐬𝐨𝐨𝐦𝐢𝐲𝐚𝐭 𝐚𝐮𝐫 𝐫𝐚𝐧𝐠-𝐛𝐢𝐫𝐚𝐧𝐠𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐞𝐢𝐧 𝐛𝐚𝐬 𝐞𝐤 𝐩𝐮𝐫𝐚𝐧𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝 𝐛𝐚𝐧 𝐠𝐚𝐲𝐢 𝐡𝐚𝐢𝐧.

 

 

Zimmedariyon ke bojh mein, sab kuchh kho gaya, 

Woh khushi, woh umang, bas yaadon mein so gaya. 

Jo tyohar, dil ko choo jaata tha kabhi, 

Aaj woh din bhi, bas sadharan-sa ho gaya.

 

Bachpan mein jo rakhi ka intezaar hota tha, 

Ab woh din bas khud se hi ek sawal hota hain. 

Har baar sochta hoon uss pyaari dor ke baare mein, 

Kyun us dor mein ab pyaar ka rang nahi hota hain?

 

Woh dosti, woh chhoti-moti ladai, 

Rakhi ke bandhan mein woh khushi chhupi thi, bhai! 

Aaj kal to bas rasmon ka bojh hai sar par, 

Koi na samjhe, kyun dil hai itna be-asar?

 

Ghar mein saji thali, par man ab bhi udas hain, 

Zimmedariyon ke saaye mein har din bas jeene ki hi aas hain. 

Bachpan ki woh yaadon ki mithas kahaan chali gayi, 

Jo hansi thi dil mein, woh kyun chhup-si gayi?

 

Woh rakhiyon ka mausam, ab dhundhla sa lagta hain, 

Har dhaage mein bas majbooriyon ka shor sunai deta hain. 

Tyohar ab khushiyon se door lagte hain, 

Bas yaadon mein hi woh pal apne-se lagte hain.

 

Har badalti zindagi ki yahi ek kahani hain, 

Jahan khushiyan ki bhi ab adhuri si zindagani hain. 

Har saal rakhi ka tyohar nayi umeed lata hain, 

Par woh khushi, woh pyaar ab kahin bhi nahi mil-pata hain.

 

Man mein ek ajeeb sa ehsaas chhupa hain, 

Woh bachpan wale tyohar jaisa, ab kuchh raas nahi aata hain. 

Shayad woh waqt, woh log aur who daur hi kuch aur tha, 

Ya shayad hum hi ab badal gaye hain, isliye yaad nahi aata hain.

 

Rakhi ki dor ab bas ek yaad hain, 

Bachpan ki khushi, bas ek purani fariyaad hain. 

Zimmedariyon ke saaye mein hum bas jee rahe hain, 

Woh masoom si khushi, ab sirf yaadon mein hi basi hain.

 

Yaad hai woh din, jab rakhi ki khushboo thi, 

Aaj kal bas rasmey hain, us pyar ki khoj mein. 

Bachpan ka tyohar ab dil ko kyun nahi chhoo raha? 

Shayad humne bhi masoomiyat ko dheere-dheere kho diya.

 

Zimmedariyon ke bojh mein, hum sab kuchh bhool gaye, 

Tyohar ki khushboo, bas yaadon mein reh gayi. 

Woh rakhi ka bandhan, ab sirf ek yaad-sa ban gaya, 

Bachpan ka rishta, kahin kho-sa gaya.

 

Jee rahe hain hum, par khushiyon ke bina, 

Zimmedariyon ke bojh mein, kho gaye apne hi nishaan. 

Tyohar ka woh asar ab hain kahaan , 

Kyun woh khushi aur rang humse hain khafa?

 

Pehle ki Rakhi ki baat hi kuchh aur thi, 

Woh din ab sirf yaadon mein hi rehte. 

Kya sach mein badal gaye hain hum, 

Ya bachpan ki woh baat hi kuchh aur thi?

 

 

“Rakhi ki yaadein purani ho gayi, 

Zimmedariyon mein khushi kho gayi.”

 

 

- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. ©

Writco  ©

Muuzzer  ©


Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”