“𝐃𝐀𝐑𝐃 𝐊𝐈 𝐁𝐀𝐀𝐙𝐀𝐑𝐈 𝐊𝐄𝐄𝐌𝐀𝐓”


𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐰𝐚𝐫𝐚, 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐤𝐨 𝐯𝐲𝐚𝐤𝐭 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞𝐲 𝐡𝐮𝐲𝐞 𝐲𝐞𝐡 𝐤𝐞𝐡𝐧𝐚 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢, 𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐚𝐚𝐧𝐬𝐮𝐨𝐧 𝐤𝐨 𝐛𝐚𝐳𝐚𝐚𝐫 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐛𝐞𝐜𝐡𝐧𝐞 𝐤𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐡𝐢 𝐞𝐤 𝐛𝐡𝐚𝐫𝐚𝐦 𝐡𝐚𝐢, 𝐤𝐲𝐮𝐧𝐤𝐢 𝐲𝐞𝐡 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐬𝐢𝐫𝐟 𝐝𝐢𝐥 𝐤𝐞 𝐠𝐞𝐡𝐫𝐚𝐢𝐲𝐨𝐧 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐡𝐢 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐲𝐞 𝐡𝐨𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧. 𝐇𝐚𝐫 𝐚𝐚𝐧𝐬𝐮 𝐞𝐤 𝐚𝐧𝐦𝐨𝐥 𝐧𝐢𝐬𝐡𝐚𝐧𝐢 𝐡𝐚𝐢 𝐣𝐨 𝐚𝐩𝐧𝐨 𝐤𝐞 𝐝𝐢𝐲𝐞 𝐡𝐮𝐞 𝐳𝐚𝐤𝐡𝐦𝐨𝐧 𝐤𝐨 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐛𝐚𝐬𝐚𝐲𝐞 𝐫𝐚𝐤𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢, 𝐚𝐮𝐫 𝐲𝐞𝐡 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐛𝐚𝐳𝐚𝐚𝐫 𝐤𝐞 𝐦𝐨𝐥 𝐬𝐞 𝐤𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐛𝐡𝐢 𝐧𝐚𝐡𝐢 𝐛𝐢𝐤 𝐬𝐚𝐤𝐭𝐚.

 

Aaj bazaar gaya tha yeh soch kar, 

Kuch aansu bech aaun, 

Dil ke bojh ko halka karne, 

Apne gham ko baant aaun.

 

Mitti ke dukaan mein dekha,

Dard bhi bikta tha kahin,

Socha apna dard bhi le jaaun,

Par yeh kaise bik paayega yahin?

 

Khareedar muskurate hue bole,

Sahab!, aansuon ka kya mol lagayein?

Yeh toh tohfe hain jo apno ke diye,

Kaise hum isse apne sath le jaayein?

 

Dil ka bojh jo gehra hain,

Woh kaise bazaar mein bik sakta?

Jo zakhm apno ne diye hain,

Woh kaise koi aur sehan kar sakta?

 

Aansu toh yaadon ki raakh hain,

Waqt ke zakhmon ka yeh silsila hain.

Jo rishtey kabhi jeevit the,

Aaj woh sirf ek khaali baat hain.

 

Bazaar mein dard ka mol kya?

Jazbaat kya kabhi bikte hain?

Jo zakhm diya apno ne kabhi,

Woh toh rooh tak jaate hain.

 

Samajh gaya main bazaar ki reet,

Dard ka kya mol hai, ji ?

Yeh toh woh nishaniyaan hain,,

Jo sirf yaadon mein reh jaati hain.

 

Aaj bazaar se khali haath laut aaya,

Apne aansu wapas le aaya,

Samajh gaya ki yeh tohfe hain,

Jo sirf dil ke kone mein baste hain.

 

Dard ka ye bojh mera hain,

Isse bechne ka sapna bekaar hain,

Waqt ke saath yeh gehra hota jaa raha hain,

Aur yaadon mein chupke roota hain.

 

Kabhi apno ne diya tha jo pyar,

Aaj yaadon ka woh haqdaar hain,

Jo rishta tha kabhi jeene ka saath,

Aaj bas dard ka ek izhaar hain.

 

 

Raat ke andhere mein jab sochne baitha,

Aansuon ka wazan kyun itna bhaari tha?

Har aansu mein chhupi thi ek dastan,

Par woh rishta jo kabhi apna tha, kyu ho gaya purana?

 

Dil ke gehraiyon mein jaake,

Dard ka samundar hai bicha,

Usmein yaadon ki kashti chhoti si,

Par har boond ek naya dard laata hai gehra.

 

Zindagi ka yeh bojh uthane wala,

Har aansu ek naya fasana sunaane wala,

Toh kaise bikega yeh dard bazaar mein?

Jise apno ne diya, woh kabhi bikta nahi vyapaar mein.

 

Toh ab aansuon ke saath main jeeta hoon,

Yeh tohfe ab apne galey se lagata hoon.

Dil ke kone mein inhe basa kar mein,

Zindagi bhar ke ke liye yeh dard sehta hoon.

 

“𝗗𝗮𝗿𝗱 𝗸𝗮 𝗺𝗼𝗹 𝗯𝗮𝘇𝗮𝗮𝗿 𝗺𝗲𝗶𝗻 𝗻𝗮𝗵𝗶,

𝗬𝗮𝗮𝗱𝗼𝗻 𝗸𝗶 𝗴𝗲𝗵𝗿𝗮𝗶𝘆𝗼𝗻 𝗺𝗲𝗶𝗻 𝗵𝗶 𝘂𝘀𝗸𝗶 𝗷𝗮𝗴𝗮𝗵 𝗵𝗮𝗶 𝘀𝗮𝗵𝗶.”

 

- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. © 

Writco  © 

Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”