“𝐒𝐀𝐏𝐍𝐎 𝐊𝐀 𝐀𝐀𝐒𝐇𝐈𝐘𝐀𝐍𝐀”
Is kavita ke dwara, kavi apni soch ko vyakt kartey huye yeh kehna chahta hai ki zindagi ke sapne aksar adhoore reh jaate hain, aur unka bikharna insaan ko akela aur udaas kar deta hai. Ye khud ki tanhai aur dard ka ehsaas hai, jab hum apne sapnon ko kho dete hain aur sirf unki yaadon mein jeete hain. Yeh kavita un dard bhare lamhon ko darshati hai, jab hum khud se hi baatein karte hain aur khud ko samajhne ki koshish karte hain.
Sapne boond boond bikhar gaye,
Khaab mere sabhi udhar gaye.
Maangi thi ek chhat apni si,
Par hawa ke saath hi bikhar gaye.
Socha tha, chhod ke sab ko chalenge,
Wahan jahaan khamoshi mein palenge.
Par is naye sheher ne bhi dhokha de diya,
Mere sapnon ko phir se tanha chhod diya.
Tanha khada tha zindagi ke is mod pe,
Har pal guzaar raha is dard ke sath main.
Har taraf thi roshni, par mere andar sannata tha,
Aur apni qismat ko kaus raha har roz mein.
In aandhiyaan ko sambhale kaise?
Har dard ke aansoo chuppaye kaise?
Sannate mein roshni ke liye pukaar ki thi,
Par ye khaamoshi ki udaasi ko bhulaye kaise?
Muskuraate hue chaand se maine baatein ki thi,
Apne gum ko sitaaron se bhari raatein di thi.
Chamakte sitaaron ko dard bayan kiya tha,
Aur chaand ko bhi udaasi ka ehsaas diya tha.
Raat bhar khud se ek raaz chhupaaya tha,
Apne aansoon ko aankhon mein sajaya tha.
Par subah aayi toh wo aansoon bhi gaye,
Aur bas khali aankhein nashe mein chhod gaye.
Dil ke kone mein ek yaad bas gayi thi,
Ek aashiyana sapno ka palat gaya tha.
Jise humne apna sukoon samjha tha,
Wahi khwaab meri zindagi barbaad kar gayi thi.
Aaj bhi wo aashiyana dil mein hai,
Bikhri hui uski har ek manzil hai.
Par zamane ne uss khwab ko luta diya,
Aur bas hum reh gaye apne saaye ke saath.
Par ab toh saaye bhi chhodne ko tayaar hain,
Aasra diye hue woh kirdaar hain.
Is dard ke kaafile mein tanha hain hum,
Jinhe samjhe na duniya ke shahar aur bazaar hain.
Ab toh bas wo aashiyana yaadon mein hain,
Ek tukda jo dil ke qaid-khano mein hain.
Par ye bhi sach hai, ki wo sab kuch lekar,
Dil ke gehraayi mein ek dard chhod gaya, woh sapno ka ghar.
“Sapno ke aashiyan mein chhupi hai muskurahat ki baatein,
Khud se dosti kar lo, duniya ki toh hai sirf thodi si saath ki raatein.”
- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. ©
Writco ©
Comments
Post a Comment