“𝐇𝐀𝐀𝐑 𝐊𝐈 𝐂𝐇𝐇𝐔𝐏𝐈 𝐊𝐀𝐇𝐀𝐍𝐈”


𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐰𝐚𝐫𝐚, 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐤𝐨 𝐯𝐲𝐚𝐤𝐭 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞𝐲 𝐡𝐮𝐲𝐞 𝐲𝐞𝐡 𝐤𝐞𝐡𝐧𝐚 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢, 𝐳𝐢𝐧𝐝𝐚𝐠𝐢 𝐤𝐞 𝐡𝐚𝐫 𝐩𝐚𝐥 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐡𝐮𝐦 𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐚𝐮𝐫 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐬𝐞 𝐣𝐨𝐨𝐣𝐡𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧, 𝐣𝐨 𝐤𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐩𝐮𝐫𝐚𝐧𝐢 𝐤𝐡𝐮𝐬𝐡𝐢𝐲𝐨𝐧 𝐤𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝 𝐝𝐢𝐥𝐚𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧 𝐚𝐮𝐫 𝐤𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐣𝐮𝐝𝐚𝐢 𝐤𝐨 𝐣𝐚𝐧𝐦 𝐝𝐞𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧. 𝐇𝐚𝐫 𝐞𝐤 𝐲𝐚𝐚𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐞𝐤 𝐤𝐚𝐡𝐚𝐧𝐢 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡 𝐚𝐚𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢, 𝐣𝐨 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐲 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡 𝐚𝐮𝐫 𝐛𝐡𝐢 𝐠𝐞𝐡𝐫𝐚 𝐚𝐮𝐫 𝐦𝐞𝐞𝐭𝐡𝐚 𝐥𝐚𝐠𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢.

 

Teri yaadon ka bojh, chhupa hain kahin,

Tere bina jeena, jaise saansein hain thamin.

Har pal mein tu, par tu hai kahaan?

Main jo bhoolna chaahun tujhe, yaadein karti hai bayaan.

 

Waqt nikalta gaya, hum door hote gaye,

Aankhon ke aansoon bhi chupke se rote rahe.

Woh khushi ka pal ab yaadon mein dhal gaya,

Dil ka har jazba dheere dheere jal gaya.

 

Dil ke kone mein teri aawaaz gunjti hain,

Ab tera chehra dhundhla sa dikhta hain.

Main haar gaya apna waqt tere liye,

Aur tu kho gayi, apni nayi zindagi banane ke liye.

 

Teri muskurahat ka jadoo ab kho sa gaya,

Meri yaadon ka rang bhi bechain ho gaya.

Khatam hua yeh safar, hum haar gaye,

Tu apni duniya mein magan, aur main apni yaadon mein bandh sa gaya.

 

Ab main yaad karoon, ya bhool jaaun tujhe,

Dil toh ab bhi chahta hai ki paas main rahoon tere.

Lekin aakhri lamha yeh kahani keh gaya,

Hum dono haare, par main khud ko kho gaya.

 

Ab raaton mein tanha sa ek sukoon hai milta,

Teri yaadon ka ab sirf ek dhoondhla junoon hai dikhta.

Main bhoolna chaahoon, par dil ab bhi hai ziddi,

Teri yaadon se judaa hona hai ab bhi mushkil.

 

Aankhon ke aansoon ab rukte nahi,

Tere bina raahen kabhi sulajhte nahi.

Main chala tha tujhse door, lekin waqt ke aage haara,

Yeh jazbaat the mere, jo tu samajh paayi nahi.


 “𝐊𝐡𝐮𝐬𝐡𝐢𝐲𝐨𝐧 𝐤𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝, 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐤𝐚 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚,

𝐙𝐢𝐧𝐝𝐚𝐠𝐢 𝐤𝐞 𝐡𝐚𝐫 𝐩𝐚𝐥 𝐦𝐞𝐢𝐧, 𝐭𝐮 𝐚𝐛 𝐛𝐡𝐢 𝐡𝐚𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐚.”

 

- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. © 

Writco  © 

Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”

“𝐙𝐈𝐌𝐌𝐄𝐃𝐀𝐑𝐈𝐘𝐎𝐍 𝐊𝐈 𝐑𝐀𝐊𝐇𝐈”