“𝐃𝐈𝐋 𝐊𝐈 𝐃𝐇𝐔𝐍𝐃𝐋𝐈 𝐘𝐀𝐀𝐃𝐄𝐈𝐍”


𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐰𝐚𝐫𝐚, 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐤𝐨 𝐯𝐲𝐚𝐤𝐭 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞𝐲 𝐡𝐮𝐲𝐞 𝐲𝐞𝐡 𝐤𝐞𝐡𝐧𝐚 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢, 𝐳𝐢𝐧𝐝𝐚𝐠𝐢 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐚𝐤𝐬𝐚𝐫 𝐜𝐡𝐞𝐡𝐫𝐞 𝐩𝐞 𝐤𝐡𝐮𝐬𝐡𝐢 𝐭𝐨𝐡 𝐡𝐨𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢, 𝐥𝐞𝐤𝐢𝐧 𝐚𝐧𝐝𝐚𝐫 𝐬𝐞 𝐡𝐮𝐦 𝐮𝐝𝐝𝐚𝐬𝐢 𝐚𝐮𝐫 𝐛𝐞𝐜𝐡𝐚𝐢𝐧𝐢 𝐦𝐞𝐡𝐬𝐨𝐨𝐬 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧. 𝐉𝐨 𝐩𝐲𝐚𝐫 𝐚𝐮𝐫 𝐫𝐢𝐬𝐡𝐭𝐞 𝐡𝐮𝐦 𝐬𝐨𝐜𝐡𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧 𝐡𝐚𝐦𝐞𝐬𝐡𝐚 𝐤𝐞 𝐥𝐢𝐲𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧, 𝐰𝐚𝐪𝐭 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡 𝐰𝐨𝐡 𝐚𝐝𝐡𝐮𝐫𝐞 𝐬𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐚𝐮𝐫 𝐚𝐝𝐡𝐨𝐨𝐫𝐢 𝐤𝐚𝐡𝐚𝐧𝐢𝐲𝐚𝐧 𝐛𝐚𝐧 𝐤𝐚𝐫 𝐫𝐞𝐡 𝐣𝐚𝐚𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧.

 

Mere chehre par khushi toh hain,

Par dil ke kone mein veeraniyaan hain,

Hansi hai, magar wo bas ek naqaab hain,

Andar toh bas bechaini si kahaaniyan hain.

 

Woh shaqs jo kabhi tha saath mere,

Ab sirf uski purani yaadein hi bachi hain,

Ek pal ka safar tha khushiyon ka,

Ab bas uski adhoori nishani hi reh gayi hain.

 

Raaste jo humne mil ke chune the,

Ab un raahon pe sirf dhool si chhayi hai,

Wo pal jo kabhi apna tha,

Aaj bas ek anjaan si kahani ban gayi hai.

 

Log badalte hain har pal, har daur ke sath,

Jaise patton ka rang har mausam ke sath,

Mohabbat bhi ek dhund si reh gayi hain,

Jismein sachcha pyar kahin kho-sa gaya hain.

 

Zindagi ke rang bhi adhoore lagtey hain,

Aur khushiyon ke sapne bhi jaise adhure hain.

Yeh duniya toh bas jhooth ka jaal hain,

Jisne sachcha pyar manga, wo hi bechain har pal hain.

 

Jiski kabhi asmaan mein udney ki khwaish thi,

Aaj apne aasuon ka bojh bhi nahi utha pa raha hain.

Woh shaqs jo apne vade par hi jeeta tha,

Aaj unhi vaadon ke bojh se thak chuka hain.

 

Khwaabon ke sheher mein humne sapne dekhe the,

Ab wo khwaab bas dhundli yaadein ban ke reh gaye.

Dil mein jo khushi thi, ab woh ek gham hain,

Aur ye duniya bas ek khokhli tasveer me band hain.

 

Aaj kal ki kahaniyaan mukammal hoti kahan hain,

Yeh zindagi toh sirf ek dikhawa hain,

Jisne sachcha pyar kabhi kiya tha,

Woh khud ek kahani ka hissa ban gaya hain.

 

Ab toh bas khamosh lamhein hain mere paas,

Aur dil mein bassi hai ek aadhi-adhuri aas,

Jo kabhi tha zinda pyar ke khatir,

Ab sirf bechaini ka zinda saboot hai, is chhupi kahani ka.


 “𝐉𝐨 𝐬𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐤𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐫𝐨𝐬𝐡𝐧𝐢 𝐬𝐞 𝐛𝐡𝐚𝐫𝐞 𝐭𝐡𝐞, 

𝐀𝐛 𝐰𝐨𝐡𝐢 𝐚𝐧𝐝𝐡𝐞𝐫𝐨𝐧 𝐦𝐞𝐢𝐧𝐤𝐚𝐡𝐢𝐧 𝐤𝐡𝐨-𝐬𝐞 𝐠𝐚𝐲𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧.”

 

- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. © 

Writco  © 

Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”

“𝐙𝐈𝐌𝐌𝐄𝐃𝐀𝐑𝐈𝐘𝐎𝐍 𝐊𝐈 𝐑𝐀𝐊𝐇𝐈”