“𝐏𝐀𝐓𝐇𝐇𝐀𝐑 𝐊𝐈 𝐃𝐔𝐍𝐈𝐘𝐀”

𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐰𝐚𝐫𝐚, 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐤𝐨 𝐯𝐲𝐚𝐤𝐭 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞𝐲 𝐡𝐮𝐲𝐞 𝐲𝐞𝐡 𝐤𝐞𝐡𝐧𝐚 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢, 𝐩𝐚𝐭𝐭𝐡𝐚𝐫 𝐤𝐢 𝐝𝐮𝐧𝐢𝐲𝐚 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐚𝐮𝐫 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐤𝐨 𝐧𝐚𝐡𝐢 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐣𝐡𝐭𝐢. 𝐂𝐡𝐚𝐧𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐬𝐢𝐭𝐚𝐫𝐞 𝐛𝐡𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐭𝐚𝐧𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐨 𝐬𝐡𝐚𝐚𝐲𝐚𝐝 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐣𝐡 𝐧𝐚𝐡𝐢 𝐩𝐚𝐚𝐭𝐞, 𝐚𝐮𝐫 𝐝𝐮𝐧𝐢𝐲𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐡𝐨𝐤𝐡𝐞 𝐚𝐮𝐫 𝐤𝐡𝐚𝐦𝐨𝐬𝐡𝐢 𝐤𝐨 𝐣𝐞𝐞𝐯𝐚𝐧 𝐤𝐚 𝐬𝐚𝐜𝐡 𝐦𝐚𝐚𝐧 𝐥𝐞𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢. 𝐘𝐞𝐡 𝐝𝐮𝐧𝐢𝐲𝐚 𝐛𝐚𝐬 𝐛𝐚𝐡𝐚𝐫 𝐬𝐞 𝐧𝐚𝐳𝐚𝐫 𝐚𝐚𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢, 𝐚𝐧𝐝𝐚𝐫 𝐤𝐢 𝐫𝐚𝐚𝐡𝐚𝐭𝐞𝐢𝐧 𝐚𝐮𝐫 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐮𝐬𝐤𝐢 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐣𝐡 𝐬𝐞 𝐩𝐚𝐫𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧. 𝐇𝐚𝐫 𝐩𝐚𝐥 𝐣𝐨 𝐠𝐮𝐳𝐚𝐫𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢, 𝐰𝐨𝐡 𝐞𝐤 𝐭𝐡𝐨𝐤𝐚𝐫 𝐤𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝 𝐛𝐚𝐧 𝐣𝐚𝐚𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢, 𝐣𝐨 𝐲𝐞𝐡 𝐝𝐮𝐧𝐢𝐲𝐚 𝐤𝐢 𝐬𝐨𝐨𝐤𝐡𝐢 𝐚𝐮𝐫 𝐚𝐧𝐣𝐚𝐚𝐧𝐢 𝐜𝐡𝐚𝐚𝐝𝐚𝐫 𝐤𝐞 𝐧𝐞𝐞𝐜𝐡𝐞 𝐜𝐡𝐡𝐮𝐩𝐢 𝐡𝐨𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢.

 

Patthar ki hai duniya, jazbaat nahi samjhti,

Dil mein jo baat hai, woh baat nahi samjhti,

Chand bhi tanha hai, sitaaron ke beech,

Par uska dard, bewafa raat nahi samjhti.

 

Har pal jo guzra, bas thokar ki yaad hain,

Rishton ki duniya mein, sirf dhokhe ki baat hain,

Zakhmon ki kahani, koi haalaat nahi samjhti,

Patthar ki hai duniya, jazbaat nahi samjhti.

 

Dil se jo toot jaaye, woh raah dikhai nahi deti,

Chhupi hui hai roshni, par dikhai nahi deti,

Har koi chal raha hai, par raaste ka dard nahi samjhti,

Jhooti muskaan ka sach, yeh fursat ki raat nahi samjhti.

 

Chand bhi jaanta, uska apna gham hai,

Raat ke andheron mein, chhupa dard phir bhi kam hai,

Zameen par aake, yeh bewafa saath nahi samjhti,

Patthar ki hai duniya, jazbaat nahi samjhti.

 

Sitaron ke silsile mein, ek kahani hai chhupi,

Chand ki roshni mein, udaasi hai suni,

Samundar ki lehron ka sapna, maryada nahi samjhti,

Patthar ki hai duniya, jazbaat nahi samjhti.

 

Pal pal mein hai tanhaayi, par awaaz nahi hain,

Kahaan leke jaayein, koi raaz nahi hain,

Jise dil se chaaho, wo bhi paaya nahi hain,

Pathhar ki jo yeh duniya hai, jazbaat nahi samjhti.

 

Chaand ki kahani bewafa raat nahi samjhti,

Dard jo chhupa hai, yeh faasla baat nahi samjhti.

Patthar ki duniya, khushiyo ki raah nahi samjhti,

Zakhmon ki khamoshi, yeh duniya nahi samjhti.

 

“𝐏𝐚𝐭𝐭𝐡𝐚𝐫 𝐤𝐢 𝐝𝐮𝐧𝐢𝐲𝐚, 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐤𝐨 𝐧𝐚𝐳𝐚𝐫 𝐚𝐧𝐝𝐚𝐳 𝐤𝐚𝐫𝐞,

𝐃𝐢𝐥 𝐤𝐞 𝐫𝐚𝐚𝐳, 𝐲𝐞𝐡 𝐝𝐮𝐧𝐢𝐲𝐚, 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐣𝐡 𝐬𝐞 𝐩𝐚𝐫𝐞.”


- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. © 

Writco  © 

Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”

“𝐙𝐈𝐌𝐌𝐄𝐃𝐀𝐑𝐈𝐘𝐎𝐍 𝐊𝐈 𝐑𝐀𝐊𝐇𝐈”