“𝐀𝐀𝐊𝐇𝐑𝐈 𝐒𝐇𝐀𝐀𝐌”


𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐰𝐚𝐫𝐚, 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐤𝐨 𝐯𝐲𝐚𝐤𝐭 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞𝐲 𝐡𝐮𝐲𝐞 𝐲𝐞𝐡 𝐤𝐞𝐡𝐧𝐚 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢 𝐳𝐢𝐧𝐝𝐚𝐠𝐢 𝐤𝐢 𝐤𝐡𝐚𝐦𝐨𝐬𝐡𝐢 𝐚𝐮𝐫 𝐮𝐝𝐚𝐬𝐢 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐛𝐡𝐢 𝐞𝐤 𝐠𝐞𝐡𝐫𝐚 𝐚𝐬𝐚𝐫 𝐡𝐨𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢. 𝐇𝐚𝐫 𝐥𝐚𝐦𝐡𝐚, 𝐡𝐚𝐫 𝐲𝐚𝐚𝐝, 𝐚𝐮𝐫 𝐡𝐚𝐫 𝐭𝐚𝐬𝐯𝐞𝐞𝐫 𝐡𝐮𝐦𝐚𝐫𝐞 𝐝𝐢𝐥 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐜𝐡𝐡𝐮𝐩𝐢 𝐡𝐨𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢, 𝐣𝐨 𝐤𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐧𝐚 𝐛𝐡𝐨𝐨𝐥𝐧𝐞 𝐰𝐚𝐥𝐢 𝐡𝐨𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢. 𝐘𝐞𝐡 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐡𝐮𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐲𝐚𝐚𝐝 𝐝𝐢𝐥𝐚𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢 𝐡𝐮𝐦𝐚𝐫𝐢 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐞𝐢𝐧 𝐚𝐮𝐫 𝐚𝐧𝐮𝐛𝐡𝐚𝐯 𝐡𝐚𝐦𝐞𝐬𝐡𝐚 𝐡𝐮𝐦𝐚𝐫𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡 𝐫𝐚𝐡𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧, 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐞 𝐡𝐮𝐦 𝐤𝐢𝐭𝐧𝐞 𝐛𝐡𝐢 𝐝𝐨𝐨𝐫 𝐜𝐡𝐚𝐥𝐞 𝐣𝐚𝐚𝐲𝐞𝐢𝐧.

 

Udasi ka paighaam lekar, ek shaam zaroor ayegi,

Zindagi ke mod pe khamoshi ki gehraayi chaayegi.

Dil ke andheron mein kuch kahaniyaan chhup jaayengi,

Meri yaadon ke dariya mein, bechaare lamhe doob jaayenge.

 

Waqt ke haathon se phislenge kuch pal yaadon ke,

Hawaon mein bikhar jaayenge mere kuch pal armanno ke.

Aankhon ki nami mein kuchh sapne mit jaayenge,

Chupke se dil ke kone mein aansoo simat jaayenge.

 

Chand taaron ke tale, meri dastaan likhi jaayegi,

Saanson ka silsila khatam, ek nayi raah buni jaayegi.

Koi shor nahi, sirf hawa ka ek halka jhonka hoga,

Mitti ke dhaagon mein meri rooh ka halka sa rang basa hoga.

 

Palkein jab bojh se neeche jhuk jaayengi,

Chupke se ek aansu aankhon se phisal jaayege.

Samay ke is khel mein sab kuch dheere-dheere ghoomega,

Meri yaadon ki patang, aasman mein door kahin kho jayegi.

 

Jahaan ke mele mein, meri kami mehsoos karoge,

Par jaane waale ka raaz toh mitti mein chhupa hoga.

Ek tasveer yaadon ke sookhe ped pe latak jaayegi,

Jise dekh kar sab ki aankhon mein udaasi bhar jaayegi.

 

Duniya ka yeh safar to bas ek lamha tha,

Khwaabon ki ek deewar thi, jise girna hi tha.

Hawaon mein ghul jaunga, ek awaaz bhi na rahegi,

Jaise sapna dekha tha, waise hi meri dastaan bikhar jaayegi.

 

Na koi shikwa, na gila mere hone ka rahega,

Meri khamoshi ka sirf ek dhundhla sa ehsaas bachega.

Dil ke kone mein ek raah meri chhup jaayegi,

Meri tasveer hi hai, jo hamesha sabke paas reh jaayegi.

 

Jab bhi raaton ko chand tale khade honge,

Meri yaadon mein sitaro ko yunhi dekha karonge.

Yeh safar toh ek manzil thi jo khatam ho jayegi,

Par meri tasveer yaadon ke bazaar mein gum ho jayegi.

 

Rukh hawa ka badlega, par meri yaadein wahi rahengi,

Main mit jaunga, par duniya ki aankhon mein qaid rahunga.

Ek tasveer, ek pal ka ehsaas, jo kabhi purana tha,

Par us aakhri shaam ko tu kabhi bhool na paayega.

 

“𝐊𝐚𝐛𝐡𝐢 𝐦𝐢𝐭 𝐧𝐚 𝐩𝐚𝐚𝐲𝐞𝐧𝐠𝐚, 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐤𝐚 𝐲𝐞𝐡 𝐣𝐚𝐡𝐚𝐧,

𝐀𝐚𝐤𝐡𝐢𝐫 𝐬𝐡𝐚𝐚𝐦 𝐭𝐚𝐤 𝐫𝐚𝐡𝐞𝐠𝐚, 𝐦𝐞𝐫𝐚 𝐢𝐦𝐭𝐢𝐡𝐚𝐚𝐧.”

 

 - ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. © 

Writco  © 

Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”

“𝐃𝐀𝐑𝐃 𝐊𝐈 𝐁𝐀𝐀𝐙𝐀𝐑𝐈 𝐊𝐄𝐄𝐌𝐀𝐓”