“𝐓𝐎𝐎𝐓𝐄𝐘 𝐑𝐈𝐒𝐇𝐓𝐄𝐘 𝐊𝐀 𝐃𝐔𝐊𝐇”


𝐈𝐬 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐤𝐞 𝐝𝐰𝐚𝐫𝐚, 𝐤𝐚𝐯𝐢 𝐚𝐩𝐧𝐢 𝐬𝐨𝐜𝐡 𝐤𝐨 𝐯𝐲𝐚𝐤𝐭 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐞𝐲 𝐡𝐮𝐲𝐞 𝐲𝐞𝐡 𝐤𝐞𝐡𝐧𝐚 𝐜𝐡𝐚𝐡𝐭𝐚 𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐢, 𝐞𝐤 𝐫𝐢𝐬𝐡𝐭𝐚 𝐣𝐨 𝐮𝐦𝐞𝐞𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐛𝐡𝐚𝐫𝐚𝐦 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐚𝐭𝐡 𝐬𝐡𝐮𝐫𝐮 𝐡𝐮𝐚 𝐭𝐡𝐚, 𝐰𝐚𝐪𝐭 𝐤𝐞 𝐬𝐚𝐭𝐡 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐚𝐮𝐫 𝐚𝐟𝐬𝐨𝐬 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐤𝐡𝐚𝐭𝐚𝐦 𝐡𝐨 𝐠𝐚𝐲𝐚. 𝐘𝐞𝐡 𝐤𝐚𝐯𝐢𝐭𝐚 𝐮𝐧 𝐣𝐚𝐳𝐛𝐚𝐚𝐭 𝐤𝐨 𝐛𝐚𝐲𝐚𝐧 𝐤𝐚𝐫𝐭𝐢 𝐡𝐚𝐢, 𝐣𝐨 𝐞𝐤 𝐬𝐚𝐦𝐚𝐲 𝐚𝐩𝐧𝐞 𝐥𝐚𝐠𝐭𝐞 𝐭𝐡𝐞 𝐥𝐞𝐤𝐢𝐧 𝐚𝐛 𝐛𝐚𝐬 𝐲𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐚𝐮𝐫 𝐭𝐚𝐧𝐡𝐚𝐢 𝐤𝐞 𝐛𝐞𝐡𝐫 𝐦𝐞𝐢𝐧 𝐤𝐡𝐨 𝐠𝐚𝐲𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧.

 

Umar bhar saath nibhaane ka,

Aisa ek bharam ho gaya,

Umeed se jo rishta shuru hua tha,

Afsos mein khatam ho gaya.

 

Jise apna samajh liya tha,

Woh paraya sa lagne laga,

Dilon ke darmiyan jo ek faasla tha,

Bechaini mein palne laga.

 

Umeed ka diya jo jalaya,

Waqt ne usse bujha diya,

Jazbaat jo the kabhi gehre,

Aansuon ne unhein mita diya.

 

Saath nibhaane ka tha wada,

Par raaste alag ho gaye,

Zindagi ke is mod par,

Rishtey bas khamosh ho gaye.

 

Kabhi khushbu thi jo rishtey mein,

Ab bas yaadon ka dhuaan hai,

Zehar ban gaya woh pyaar,

Jo kabhi jeene ka nasha tha.

 

Har pal ab tanha lagta hain,

Aankhon mein aansu bhar gaye hain,

Ek pal ki muskurahat thi,

Ab sirf dard ka hi safar hain.

 

Afsoos ka rang chhaya hain,

Ab dil mein khalipan sa hain,

Jise kabhi apna kaha tha,

Aaj uska bhi faasla hain.

 

Jo rishtey saath chale the,

Woh raahon mein chhoot gaye,

Zindagi ki is tanhaai mein,

Sab apne bhi rooth gaye.

 

Zubaan jo kabhi meethi thi,

Ab khamoshiyon mein chupi hain,

Mohabbat ki woh kahani,

Aansuon ke saath hi beh gayi.

 

Kabhi umeed thi muskurahat ki,

Ab sirf yaadon ka bojh hain,

Ek rishta tha saath nibhaane ka,

Par ab bas yaadon ki reet hain.

 

Afsoos ke gehre saaye mein,

Pyaar ke pal kahin kho gaye,

Zindagi ke is andheron mein,

Woh roshni ke saaye kahin so gaye.

 

Dard ka safar hai ab,

Jismein bas tanhaai rahegi,

Ek rishta jo kabhi apna tha,

Woh kahaani ab adhoori rahegi.

 

Umar bhar ka dard hai yahaan,

Har pal hai ek naya imtihaan,

Rishta jo kabhi tha apna,

Ab sirf yaadon ka ek nishaan.

 

 “𝐘𝐚𝐚𝐝𝐨𝐧 𝐤𝐢 𝐫𝐞𝐞𝐭 𝐩𝐞 𝐥𝐢𝐤𝐡𝐚 𝐡𝐚𝐢, 𝐝𝐚𝐫𝐝 𝐤𝐚 𝐲𝐞𝐡 𝐠𝐞𝐞𝐭,

𝐑𝐢𝐬𝐡𝐭𝐚 𝐣𝐨 𝐚𝐩𝐧𝐚 𝐭𝐡𝐚, 𝐚𝐛 𝐞𝐤 𝐚𝐝𝐡𝐨𝐨𝐫𝐢 𝐩𝐫𝐞𝐞𝐭.”


- ʙʏ ʜᴀʀᴅɪᴋ ᴊᴀɪɴ. © 

Writco  © 

Comments

Popular posts from this blog

“𝐁𝐇𝐀𝐑𝐀𝐓 𝐊𝐈 𝐀𝐙𝐀𝐃𝐈 𝐊𝐀 𝐀𝐌𝐑𝐈𝐓”

“𝐁𝐄𝐓𝐈 𝐊𝐈 𝐒𝐀𝐍𝐆𝐇𝐀𝐑𝐒𝐇 𝐁𝐇𝐀𝐑𝐈 𝐃𝐀𝐒𝐓𝐀𝐀𝐍”

“𝐙𝐈𝐌𝐌𝐄𝐃𝐀𝐑𝐈𝐘𝐎𝐍 𝐊𝐈 𝐑𝐀𝐊𝐇𝐈”