โ๐๐๐๐๐๐-๐-๐๐๐๐๐๐: ๐๐๐๐๐๐๐๐ ๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐โ
๐๐ฌ ๐ค๐๐ฏ๐ข๐ญ๐ ๐ค๐ ๐๐ฐ๐๐ซ๐, ๐ค๐๐ฏ๐ข ๐๐ฉ๐ง๐ข ๐ฌ๐จ๐๐ก ๐ค๐จ ๐ฏ๐ฒ๐๐ค๐ญ ๐ค๐๐ซ๐ญ๐๐ฒ ๐ก๐ฎ๐ฒ๐ ๐ฒ๐๐ก ๐ค๐๐ก๐ง๐ ๐๐ก๐๐ก๐ญ๐ ๐ก๐๐ข ๐ค๐ข ๐ข๐ง๐ฌ๐๐๐ง ๐๐ก๐๐ก๐ ๐ฃ๐ข๐ญ๐ง๐ ๐๐ก๐ข ๐๐๐ ๐ ๐๐๐๐ก ๐ฅ๐, ๐ฃ๐ข๐ญ๐ง๐ ๐๐ก๐ข ๐ค๐๐ฆ๐ ๐ฅ๐, ๐ฅ๐๐ค๐ข๐ง ๐๐ง๐๐๐ซ ๐ค๐ ๐ฌ๐ฎ๐ค๐จ๐จ๐ง, ๐ฉ๐ฒ๐๐๐ซ ๐๐ฎ๐ซ ๐๐ฉ๐ง๐๐ฉ๐๐ง ๐ก๐๐ฆ๐๐ฌ๐ก๐ ๐๐ค ๐ญ๐๐ฅ๐๐๐ฌ๐ก ๐ก๐ข ๐๐๐ง๐ ๐ซ๐๐ก๐ญ๐ ๐ก๐๐ข. ๐๐ข๐ง๐๐๐ ๐ข ๐๐ค ๐๐ข๐ฌ๐ ๐ฌ๐๐๐๐ซ ๐ค๐ข ๐ญ๐๐ซ๐๐ก ๐ก๐๐ข ๐ฃ๐ข๐ฌ๐ฆ๐ ๐ก๐๐ซ ๐ค๐จ๐ข ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ง๐ ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ค๐๐ฆ๐ข ๐ค๐จ ๐ฉ๐จ๐จ๐ซ๐ ๐ค๐๐ซ๐ง๐ ๐ค๐ข ๐ค๐จ๐ฌ๐ก๐ข๐ฌ๐ก ๐ค๐๐ซ ๐ซ๐๐ก๐ ๐ก๐๐ข, ๐ฆ๐๐ ๐๐ซ ๐๐ฌ๐๐ฅ ๐ฆ๐๐ข๐ง ๐ก๐๐ซ ๐๐ก๐๐๐ณ ๐๐๐ก๐ฎ๐ซ๐ข ๐ฌ๐ข ๐ฅ๐๐ ๐ญ๐ข ๐ก๐๐ข. ๐๐๐ก ๐ค๐๐ฏ๐ข๐ญ๐ ๐ฎ๐ง๐ก๐ข ๐๐๐ก๐ฎ๐ซ๐ข ๐ค๐ก๐ฐ๐๐ก๐ข๐ฌ๐ก๐จ๐ง, ๐๐ก๐๐ญ๐๐ค๐ญ๐ข ๐ฆ๐จ๐ก๐๐๐๐๐ญ๐จ๐ง ๐๐ฎ๐ซ ๐ค๐ก๐จ๐ข ๐ก๐ฎ๐ข ๐ฆ๐ฎ๐ฌ๐ค๐ฎ๐ซ๐๐ก๐๐ญ๐จ๐ง ๐ค๐ข ๐ญ๐๐ฌ๐ฏ๐๐๐ซ ๐ก๐๐ข, ๐ฃ๐จ ๐ก๐๐ซ ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ค๐ข ๐ค๐๐ก๐๐ง๐ข ๐ค๐ ๐๐ค ๐ก๐ข๐ฌ๐ฌ๐ ๐ก๐๐ข.
Jism sukoon ko taras raha hai,
Mitti ki godh mein aram chahta hai.
Haalat ab bhi daulat ke peeche daudti hai,
Jahanm ki aag mein roz jalti hai.
Mann sukoon ka musafir bana hai,
Magar manzil ab bhi dhundhli si hai.
Dil apno ki basti mein ajnabi hai,
Zakhm dikhte nahi, par nas nas mein chhupi hai.
Khwahishein bhi ab bhatak rahi hain,
Har khushi kisi talaash mein hai.
Jo hansne ke din kahin kho gaye,
Har chehra ab muskuraahat ki aas mein hai.
Raat bechaini ka mehmaan bani hai,
Din roshni ke ghumaan mein hai.
Zindagi har mod pe bhatak rahi hai,
Jaane kis kami ki talaash mein hai.
Aankhon ko ab bhi aansuon ki talaash hai,
Lab thake haare, muskuraahat ki aas hai.
Har baat ek gehre gham ki shikaar hai,
Mohabbat bhi ab wafaa se bekhabar hai.
Jism toh milta hai, magar pyaar nahi,
Har rishta ab bhi vishwas ki talaash mein hai.
Jo apne the, woh ajnabi ho gaye,
Har saathi ab saath ki talaash mein hai.
Mohabbat sadaqat ki talaash mein hai,
Dosti ab bhi wafaa ki pyaasi hai.
Ghar bhi mehfil sa lagta nahi,
Har kona ek ujale ki talaash mein hai.
Kismat bhi apne maayne dhoond rahi hai,
Har koi kisi manzil ki talaash mein hai.
Saansein bhi ab ruki-ruki si lagti hain,
Jaise zinda rehne ki talaash mein hai.
Shehar ki sadkein bhi khamosh hain,
Har raahi kisi humsafar ki talaash mein hai.
Jo guzar gaye, kabhi laut ke na aaye,
Ab har yaad ek chehre ki talaash mein hai.
Dil ki dhadkan bhi ab kamzor hai,
Ruh ab bhi sukoon ki talaash mein hai.
Zindagi ek uljhan si lagti hai,
Jaise be-asar dawai ki talaash mein hai.
Sooraj bhi jaise udaasi mein hai,
Har kiran ek ujale ki talaash mein hai.
Baarish bhi mitti ko taras gayi,
Har boond apni mitti ki talaash mein hai.
Jism ab bhi aaram ki talaash mein hai,
Haalat sirf paison ke peeche bhatak rahi hai.
Mann musafir hai sukoon ki talaash mein,
Dil apno mein bhi apno ki talaash mein hai.
โ๐๐๐ฅ๐๐ฌ๐ก ๐ญ๐ก๐ข ๐ซ๐จ๐ฌ๐ก๐ง๐ข ๐ค๐ข, ๐๐ง๐๐ก๐๐ซ๐จ๐ง ๐ฌ๐ ๐๐ก๐ข๐ ๐ ๐๐ฒ๐,
๐๐ข๐ฌ๐ ๐๐ฉ๐ง๐ ๐ฌ๐๐ฆ๐ฃ๐ก๐, ๐ฐ๐๐ก๐ข ๐๐ข๐ฅ ๐ฌ๐ ๐๐ข๐ฌ๐๐ฅ ๐ ๐๐ฒ๐.โ
- สส สแดสแด ษชแด แดแดษชษด. ยฉ
Writco ยฉ
Comments
Post a Comment