โ๐๐๐๐๐ ๐๐๐๐๐ ๐๐๐๐โ
๐๐ฌ ๐ค๐๐ฏ๐ข๐ญ๐ ๐ค๐ ๐๐ฐ๐๐ซ๐, ๐ค๐๐ฏ๐ข ๐๐ฉ๐ง๐ข ๐ฌ๐จ๐๐ก ๐ค๐จ ๐ฏ๐ฒ๐๐ค๐ญ ๐ค๐๐ซ๐ญ๐๐ฒ ๐ก๐ฎ๐ฒ๐ ๐ฒ๐๐ก ๐ค๐๐ก๐ง๐ ๐๐ก๐๐ก๐ญ๐ ๐ก๐๐ข ๐ค๐ข, ๐ณ๐ข๐ง๐๐๐ ๐ข ๐ฌ๐ข๐ซ๐ ๐ฌ๐๐๐ง๐ฌ๐๐ข๐ง ๐ฅ๐๐ง๐ ๐ค๐ ๐ง๐๐๐ฆ ๐ง๐๐ก๐ข ๐ก๐จ๐ญ๐, ๐๐๐ฅ๐ค๐ข ๐ฃ๐๐๐ง๐ ๐ค๐ ๐๐ก๐ฌ๐๐๐ฌ ๐ณ๐๐ซ๐จ๐จ๐ซ๐ข ๐ก๐จ๐ญ๐ ๐ก๐๐ข. ๐๐๐ ๐๐ฎ๐ค๐ก, ๐ญ๐๐ง๐ก๐๐๐ฒ๐ข ๐๐ฎ๐ซ ๐๐๐ฐ๐๐ฃ๐๐ก ๐ค๐ข ๐ฌ๐๐ณ๐ ๐ข๐ง๐ฌ๐๐๐ง ๐ฉ๐๐ซ ๐๐ก๐ก๐ ๐ฃ๐๐๐ญ๐ข ๐ก๐๐ข, ๐ญ๐จ๐ก ๐ฐ๐จ ๐ค๐ก๐ฎ๐ ๐ค๐จ ๐๐ค ๐๐-๐ฆ๐๐ช๐ฌ๐๐ ๐ค๐๐ก๐๐ง๐ข ๐ฌ๐๐ฆ๐๐ฃ๐ก๐ง๐ ๐ฅ๐๐ ๐ญ๐ ๐ก๐๐ข. ๐๐๐ก ๐ค๐๐ฏ๐ข๐ญ๐ ๐๐ค ๐๐ข๐ฌ๐ ๐ฏ๐ฒ๐๐ค๐ญ๐ข ๐ค๐ข ๐ฆ๐๐ฃ๐๐จ๐จ๐ซ๐ข ๐๐ฎ๐ซ ๐๐ง๐๐๐ซ ๐ค๐ข ๐ญ๐จ๐จ๐ญ ๐๐ก๐ฎ๐ค๐ข ๐๐ฎ๐ง๐ข๐ฒ๐ ๐ค๐ ๐๐ฎ๐ค๐ก ๐๐๐ฒ๐๐ง ๐ค๐๐ซ๐ญ๐ข ๐ก๐๐ข, ๐ฃ๐จ ๐ณ๐ข๐ง๐๐ ๐ญ๐จ๐ก ๐ก๐๐ข, ๐ฆ๐๐ ๐๐ซ ๐ฌ๐ข๐ซ๐ ๐๐ค ๐๐๐ฌ๐ญ๐๐๐ง ๐๐๐ง๐ค๐ ๐ซ๐๐ก ๐ ๐๐ฒ๐ ๐ก๐๐ข.
Zinda hoon, par zindagi gum ho chuki,
Saans chal rahi, par rooh thak chuki.
Na khwab bache hai, na hi koi sahara,
Bas aansuon mein dooba hai, yeh dil bechara.
Ek be-gunah ko mili hai yeh saza,
Bina jurm, bina wajah, bas yunhi khafa.
Mitti ki deewaron sa hoon main yahan,
Har thokar pe bikharne ko hai ye jahaan.
Khamoshi bhi ab cheekh rahi hai,
Aankhon ki nami bhi beh rahi hai.
Dil ka shor bhi ab sunta koi nahi hai,
Bikhre armaan hawa keh rahi hai.
Hawa be-rukh, aur raah bhi anjaan hain,
Zakhm bhi gehre, aur dard bhi nadaan hain.
Aaina dekhoon toh chehra paraaya lagta hain,
Khud se milne ka rasta bhi ab sunsaan lagta hain.
Guzarta hoon galiyon se apni parchhayi ke sang,
Ab yaadon ke saaye bhi bane hain ek jang.
Zindagi ab sirf ek tanha raat hain,
Na suraj, na chand, bas andheron ki baat hain.
Chhupa hoon kahin, ya kho gaya hoon main,
Ya phir is duniya se rooth gaya hoon main?
Har muskurahat ke peechhe hai dukhon ka chehra,
Meri hansti aankhon mein chhupa hai zakhm gehra.
Barish bhi aayi thi, lekin bheegaya nahi,
Dukhon ke aangan mein noor se roshan diya nahi.
Aaj bhi yaadon ki chaadar bichha leta hoon,
Tanhaayi mein chupke se ro leta hoon.
Lafz bhi rote hain, kahani bhi udaas,
Dukhon ki kitaab hoon, jiska har panna nirash.
Sab kuch hai, magar sab kuch suna lagta hain,
Har mehfil mein bhi dil tanha rehta hain.
Magar abhi toh bas saansein chal rahi hain,
Be-zubaan, be-wajah si jal rahi hain.
Kisse kahun ke be-qasur hoon main,
Zinda hoon, magar sirf ek dastaan hoon main.
โ๐๐๐ ๐๐ข๐ค๐ฃ ๐ ๐ ๐จ๐๐ค๐ง ๐๐๐, ๐ข๐๐๐๐ง ๐๐ช๐ฃ๐๐ฎ๐ ๐๐๐๐ง๐ ๐๐๐๐ฃ,
๐๐๐ฃ๐๐ ๐๐ค๐ค๐ฃ, ๐ฅ๐๐ง ๐ฏ๐๐ฃ๐๐๐๐ ๐ ๐ช๐๐ ๐๐ช๐ง ๐ ๐๐ ๐ง๐๐๐ ๐๐๐๐ฃ.โ
- สส สแดสแด ษชแด แดแดษชษด. ยฉ
Writco ยฉ
Comments
Post a Comment