โ€œ๐“๐‡๐„ ๐‡๐„๐€๐‘๐“ ๐๐„๐‡๐ˆ๐๐ƒ ๐Œ๐˜ ๐๐‘๐„๐€๐“๐‡โ€



๐ˆ๐ฌ ๐ค๐š๐ฏ๐ข๐ญ๐š ๐ค๐ž ๐๐ฐ๐š๐ซ๐š, ๐ค๐š๐ฏ๐ข ๐š๐ฉ๐ง๐ข ๐ฌ๐จ๐œ๐ก ๐ค๐จ ๐ฏ๐ฒ๐š๐ค๐ญ ๐ค๐š๐ซ๐ญ๐ž๐ฒ ๐ก๐ฎ๐ฒ๐ž ๐ฒ๐ž๐ก ๐ค๐ž๐ก๐ง๐š ๐œ๐ก๐š๐ก๐ญ๐š ๐ก๐š๐ข ๐ค๐ข, ๐ฆ๐š๐š ๐ฌ๐ข๐ซ๐Ÿ ๐ฃ๐š๐ง๐ฆ ๐๐ž๐ง๐ž ๐ฐ๐š๐ฅ๐ข ๐ง๐š๐ก๐ข ๐ก๐จ๐ญ๐ข, ๐›๐š๐ฅ๐ค๐ข ๐ž๐ค ๐š๐ข๐ฌ๐ข ๐ซ๐จ๐จ๐ก ๐ก๐จ๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข ๐ฃ๐จ ๐ก๐š๐ซ ๐๐š๐ซ๐, ๐ก๐š๐ซ ๐ ๐ข๐ซ๐ง๐ž, ๐ก๐š๐ซ ๐š๐ง๐๐ก๐ž๐ซ๐ž ๐ฆ๐ž๐ข๐ง, ๐›๐š๐œ๐ก๐ฉ๐š๐ง ๐ฌ๐ž ๐ฅ๐ž ๐ค๐š๐ซ ๐ฃ๐š๐ฐ๐š๐ง๐ข ๐ญ๐š๐ค, ๐›๐ข๐ง๐š ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ฌ๐ก๐š๐ซ๐ญ ๐ค๐ž ๐ก๐š๐ฆ๐ž๐ฌ๐ก๐š ๐ก๐ฎ๐ฆ๐š๐ซ๐ž ๐ฌ๐š๐š๐ญ๐ก ๐ค๐ก๐š๐๐ข ๐ซ๐ž๐ก๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข. ๐Œ๐š๐š ๐ฐ๐จ๐ก ๐ก๐š๐ข ๐ฃ๐จ ๐ค๐ก๐ฎ๐ ๐ค๐จ ๐›๐ก๐จ๐จ๐ฅ ๐ค๐š๐ซ, ๐ก๐š๐ซ ๐ฆ๐จ๐ ๐ฉ๐š๐ซ ๐ก๐ฎ๐ฆ๐ž๐ข๐ง ๐ฌ๐š๐ฆ๐›๐ก๐š๐ฅ๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข, ๐›๐ข๐ง๐š ๐ค๐ฎ๐œ๐ก ๐ค๐š๐ก๐ž ๐š๐ฉ๐ง๐š ๐ฌ๐š๐› ๐ค๐ฎ๐œ๐ก ๐๐ž ๐๐ž๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข. ๐˜๐ž๐ก ๐ค๐š๐ฏ๐ข๐ญ๐š ๐ž๐ค ๐ฌ๐ก๐ฎ๐ค๐ซ๐ข๐ฒ๐š ๐ก๐š๐ข ๐ฎ๐ฌ ๐›๐ž๐ฉ๐š๐ง๐š๐ก ๐ฉ๐ฒ๐š๐š๐ซ, ๐œ๐ก๐ก๐ฎ๐ฉ๐ข ๐ก๐ฎ๐ข ๐ค๐ฎ๐ซ๐›๐š๐ง๐ข๐ฒ๐จ๐ง ๐š๐ฎ๐ซ ๐ฎ๐ฌ ๐ซ๐จ๐ฌ๐ก๐ง๐ข ๐ค๐ž ๐ฅ๐ข๐ฒ๐ž ๐ฃ๐จ ๐ฆ๐š๐š ๐ก๐š๐ซ ๐ฉ๐š๐ฅ ๐ก๐ฎ๐ฆ๐š๐ซ๐ข ๐ณ๐ข๐ง๐๐š๐ ๐ข ๐ฆ๐ž๐ข๐ง ๐›๐ก๐š๐ซ ๐๐ž๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข โ€” ๐ž๐ค ๐๐ข๐ฅ ๐ฌ๐ž ๐ง๐ข๐ค๐ฅ๐ข ๐๐ฎ๐š, ๐ž๐ค ๐ฃ๐š๐ณ๐›๐š ๐ฃ๐จ ๐ก๐š๐ซ ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ง๐ž ๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ง๐š ๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ฆ๐ž๐ก๐ฌ๐จ๐จ๐ฌ ๐ณ๐š๐ซ๐จ๐จ๐ซ ๐ค๐ข๐ฒ๐š ๐ก๐จ๐ ๐š.


Andheron mein bhi roshni si lagti hai, jab tu saath ho,

Toofan bhi chup ho jaate hain, jab teri baat ho.
Main zindagi ke har mod par bikharta gaya,
Par ek saaya tha jo har baar mujhe sambhalta raha โ€”
Woh tera pyaar tha, Maa... jo har dard pe haavi raha.


Zindagi ki raahon mein, main khud se haara tha,

Tere ek pal ke intezaar mein, har lamha guzara tha.
Jab duniya ne mujhse apna chehra mod liya,
Sirf tu hi thi... jisne be-shart pyaar kiya.


Tere haathon ki roti mein hi toh barkat hoti hai,

Teri awaaz, duaon ki tarah muqaddar kheech leti hai.
Main haara, par tune kabhi haar na maani,
Main girta gaya, aur tu himmat ban ke saath hai chali


Kabhi na maanga shrey, na kabhi royi tu zyada,

Khud ko pighlaaya... taaki main chhoo sakun aasmaan zyada.
Mohabbat ka matlab bhi tu ne hi samjhaya,
Apne-aap ko mitaakar hi toh tu ne mujhe sawara.


Kabhi-kabhi bikhar jaata hoon, par toot-ta nahi,

Kyunki tu kabhi bhi kamzor nazar aayi nahi.
Maa, tu zinda hai โ€” aur tujh mein hi meri saans hai,
Bas yahi toh meri zindagi ki aas hai.


Tere hone se hi toh meri pehchaan hai.

Tere ehsaas mein hi chhupi meri har khushi hai.
Tere bina sooraj bhi bejaan sa lagta hai,
Aur tu hai toh andhera bhi chaand sa chamakta hai.


Tu thak jaati hai, par kabhi shikayat na ki,

Mere liye har dard saha, par kabhi riwayat na ki.
Main toota, tu chupke se tukde jodti gayi,
Apne aansu pee ke, mere liye muskurati rahi.


Maa, tu sirf janm dene wali nahi thi,

Tu meri chhupi hui pehchaan ka pehla ehsaas hai.
Main toh bas hawa mein bikhra ek soona sa alfaaz tha,
Teri mohabbat ne hi mujhe ek kahaani banaya hai.


Aaj bhi jab raat tanha si mehsoos hoti hai,

Teri gaud ka khayal hi aankhon ko neend deti hai.
Yaad hai mujhe woh thappadโ€”pyaar se bhara tha,
Aur woh datna bhi, sirf meri bhalai ke liye hi tha.


Main toh bada ho gaya, par tu ab bhi roshni ka jahan hai,

Har kamzori mein tu meri chhupi taaqat ki pehchaan hai.
Log kehte hain Maa, Bhagwan ka roop hoti hai,
Main bhagwan mein yaqeen nahi karta...
Par Maa, mere liye tu unse bhi roshan ek badi misaal hai.
Kyunki tu hi toh meri ibadat ka asal paighaam hai.


Tu haiโ€ฆ isse zyada kya maangu duaon mein?

Tu hi toh hai โ€” jo har baar utha rahi mujhe apne jazbaaton mein.


~ Written from the soul, for the soul that gave me mine ~


โ€œMaa, I see all youโ€™ve done, and I feel it in every heartbeat.โ€


Happy Motherโ€™s Day, Maa !!

 

โ€œTere jaise koi nahiโ€ฆ

Aur kabhi hoga bhi nahiโ€ฆโ€

 

- By HARDIK JAIN. ยฉ

โ€” Instagram ยฉ โ€”

โ€” Writco ยฉ โ€”

Comments

Popular posts from this blog

โ€œเคธเคฟเค‚เคฆเฅ‚เคฐ: เคฒเคนเฅ‚ เคธเฅ‡ เคฒเคฟเค–เฅ€ เค—เคˆ เคตเฅ€เคฐเคคเคพ เค•เฅ€ เค•เคนเคพเคจเฅ€โ€

โ€œ๐€๐”๐‘๐€๐“ ๐Š๐ˆ ๐๐€๐˜๐ˆ ๐๐„๐‡๐‚๐‡๐€๐€๐โ€

โ€œ๐๐€๐๐€: ๐„๐Š ๐Š๐‡๐€๐Œ๐Ž๐’๐‡ ๐…๐€๐‘๐ˆ๐’๐‡๐“๐€โ€