โ๐๐๐๐ ๐๐๐ ๐๐๐๐๐๐โ
Zindagi ke har mod par, chhupi hui dard ki dastaan.โ
๐๐ฌ ๐ค๐๐ฏ๐ข๐ญ๐ ๐ค๐ ๐๐ฐ๐๐ซ๐, ๐ค๐๐ฏ๐ข ๐๐ฉ๐ง๐ข ๐ฌ๐จ๐๐ก ๐ค๐จ ๐ฏ๐ฒ๐๐ค๐ญ ๐ค๐๐ซ๐ญ๐๐ฒ ๐ก๐ฎ๐ฒ๐ ๐ฒ๐๐ก ๐ค๐๐ก๐ง๐ ๐๐ก๐๐ก๐ญ๐ ๐ก๐๐ข ๐ค๐ข, ๐ณ๐ข๐ง๐๐๐ ๐ข ๐ฆ๐๐ข๐ง ๐ก๐ฎ๐ฆ ๐ก๐๐ซ ๐๐ข๐ง ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ง๐ ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ฆ๐ฎ๐ฌ๐ก๐ค๐ข๐ฅ ๐ค๐ ๐ฌ๐๐ฆ๐ง๐ ๐ค๐๐ซ๐ญ๐ ๐ก๐๐ข๐ง, ๐ฃ๐จ ๐ก๐ฎ๐ฆ๐๐ซ๐ ๐๐ข๐ฅ ๐๐ฎ๐ซ ๐ซ๐จ๐จ๐ก ๐ค๐จ ๐ ๐๐ก๐ซ๐๐๐ฒ๐ข ๐ฌ๐ ๐๐ก๐ก๐ฎ๐ฉ๐๐ง๐ ๐ฉ๐๐ซ ๐ฆ๐๐ฃ๐๐จ๐จ๐ซ ๐ค๐๐ซ ๐๐๐ญ๐ข ๐ก๐๐ข, ๐ฃ๐จ ๐ก๐ฎ๐ฆ๐๐ข๐ง ๐๐ง๐๐๐ซ ๐ฌ๐ ๐ญ๐จ๐ ๐๐๐ญ๐ข ๐ก๐๐ข๐ง. ๐๐๐ซ ๐ฉ๐๐ฅ ๐ค๐ข ๐ฎ๐๐๐๐ฌ๐ข, ๐๐ก๐ก๐ฎ๐ฉ๐๐ฒ๐ ๐ ๐๐ฒ๐ ๐ ๐ก๐๐ฆ, ๐๐ฎ๐ซ ๐๐๐ง๐ค๐ก๐จ๐ง ๐ฆ๐๐ข๐ง ๐๐ก๐ก๐ฎ๐ฉ๐ข ๐ก๐ฎ๐ข ๐๐๐๐ญ๐๐ข๐ง, ๐ฌ๐๐ ๐ค๐ฎ๐๐ก ๐๐ค ๐๐๐ซ๐ ๐๐ก๐๐ซ๐ ๐ฌ๐๐๐๐ซ ๐ค๐ ๐ก๐ข๐ฌ๐ฌ๐ ๐ก๐๐ข๐ง, ๐ฃ๐ข๐ฌ๐ฆ๐ ๐ก๐ฎ๐ฆ ๐๐ฉ๐ง๐ ๐๐๐ซ๐ ๐ค๐จ ๐ฌ๐๐๐ฌ๐ ๐๐๐ก๐ญ๐๐ซ๐๐๐ง ๐ญ๐๐ซ๐๐๐ค๐ ๐ฌ๐ ๐๐ก๐ก๐ฎ๐ฉ๐๐ง๐ ๐ค๐ข ๐ค๐จ๐ฌ๐ก๐ข๐ฌ๐ก ๐ค๐๐ซ๐ญ๐ ๐ก๐๐ข๐ง, ๐ฅ๐๐ค๐ข๐ง ๐ฐ๐จ๐ก ๐ฌ๐๐ ๐ค๐ฎ๐๐ก ๐ฌ๐๐ฆ๐ง๐ ๐๐ ๐ก๐ข ๐ฃ๐๐๐ญ๐ ๐ก๐๐ข.
Mushkilein
har mod pe mujhse takraane par tuli hain,
Taqdeerein
meri raahon mein barf barsaane par tuli hain.
Khuda se jo maangi thi bas thodi si raahat,
Wahi
duaaein ab imtihaan ban jaane par tuli hain.
Har khushi se pehle koi toofan aane par tula hain,
Zakhm
purane bhi naye dard dilaane par tula hain.
Jo
khamoshi thi kabhi sukoon ka paighaam,
Aaj woh
bhi cheekh ban, dil ko hilaane par tuli hain.
Dard hai
dil mein, lekin jism muskaraane par tula hain,
Khamoshi meri har aawaaz dabane par tuli hain.
Saansein
chal rahi hain lekin aarzooein hai bilkul khaali,
Aur ye
aankhein har raaz chillaane par tuli hain.
Har yaad
kisi ghaav ko gehra banaane par tule hain,
Tanhaiyaan
har pal, dil ko sajaane par tuli hain.
Jo pal
kabhi mehfooz the muskurahat ke saaye mein,
Aaj wahi
pal aansuon mein doob jaane par tule hain.
Yaadein
purani har raat sataane par tuli hain,
Aur
tanhaayi har pal dard badhaane par tuli hain.
Zakhm toh
the andar hi, par logon ne hai chhed diye,
Ab toh
rooh bhi khud se bhagne par tuli hain.
Pal beet
rahe hain, par chubhan rukti hi nahi hain,
Muskaan
apne peechhe har baar cheekhein chhupne par tuli hain.
Dard ko
chhupane ki aadat bhi purani meri hain,
Aur
zakhmon ki soorat mein kahani banne par tuli hain.
Har
sapna, har khwaab ab toote fasaane se lagte hain,
Aur meri
khushi bhi ab aansu ban jaane par tuli hain.
Main
chhupata hoon apna gham, lekin muqaddar ki baatein,
Har pal
meri hansi udaane par tuli hain.
Jo tha kabhi apna, aaj anjaana sa lagta hai,
Har
apnapan bhi dooriyaan badhaane par tula hain.
Dil jo
kabhi dard mein bhi khush ho jaata tha,
Ab woh
bhi khud se nazarein churaane par tula hain.
Khamoshi
har jawab se pehle kuch boli hain,
Kalam har nazm mein bas afsos tolne par tuli hain.
Waqt ki
gardish mein har rishte ki halat bigadi hain,
Aur har
yaad kisi jazbaat ki laash uthane par tuli hain.
Zindagi
khud ek sawal ban jaane par tuli hain,
Aur har
jawaab bas khamoshi mein simat jaane par tule hain.
Manzil
door hai, aur raaste bhi thake se lagte hain,
Aur
thakaan bhi dil tak jaane par tuli hain.
Chand bhi
ab raaton ka saathi nahi raha,
Uski
roshni bhi andheron mein kho jaane par tuli hain.
Jo
umeedein kabhi sitaron se baandhi thi humne,
Aaj woh
bhi khaak mein mil jaane par tuli hain.
Jism ne
rooh ki baat, har raat suni hain,
Har
haqiqat khwab ban ke, bekaar banne par tuli hain.
Zindagi
ke har panne pe udaasi likhi huyi hain,
Aur har
khushi bhi kisi gham ki parchhai banne par tuli hain.
Phir bhi
chalta hoon, bas waqt ko harane ke liye,
Par ye
rahein har kadam mein uljhaane par tuli hain.
Bas ek
muskurahat ka jhootha sa laibaas pehna hai,
Aur
duniya usi ko asliyat maanne par tuli hain.
โ๐๐๐๐๐ข๐ค๐จ๐๐ ๐ฃ๐ ๐๐๐ง ๐๐๐ง๐ ๐ ๐ ๐ง๐๐๐ฏ ๐ก๐๐ ๐ ๐๐๐ฎ๐,
๐ผ๐ช๐ง ๐ข๐๐๐ฃ ๐ฉ๐๐ ๐ ๐ ๐๐๐จ ๐ข๐ช๐จ๐ ๐ช๐ง๐๐ ๐๐ง ๐จ๐๐ ๐ ๐ช๐๐ ๐จ๐๐ ๐๐๐ฎ๐.โ
- By HARDIK JAIN. ยฉ
WRITCO. ยฉ
Comments
Post a Comment